Time moves silently, yet leaves its mark on every heart. Moments of joy, sorrow, love, and loss all pass through its hands, shaping who we are. Waqt shayari in English gives words to these fleeting emotions, helping us reflect on life and understand its depth.
In this collection, you will find meaningful, short, and heart-touching samay shayari about life, time, challenges, relationships, and growth. Whether you are embracing happy moments or learning from bad times, these lines of waqt shayari in English will help you connect with your feelings and see the true value of every passing moment.
Best 2 Line Waqt Shayari in English

Aaj mere paas tumhare liye koi waqt nahi hai
Kabhi waqt hi waqt tha, waqt waqt ki baat hai.
Aayega waqt to dikhaayenge tum ko apna khuloos
Abhi khamosh hain hum, hum ko bas khamosh hi rehne do.
Sab dekh raha hoon sab samajh raha hoon
Khamosh is liye hoon
Kyunke abhi mera waqt nahi aaya hai.
Waqt ke ek tamaache ki dair hai sahib
Meri faqeeri bhi kya, teri badshahi bhi kya.
Hum badlenge nahi waqt ki raftaar ke saath
Jab bhi milenge andaaz wahi purana hoga.
Waqt apne usoolon pe azal se hai qaayim
Imtihaan jis ka bhi leta hai riayat nahi karta.
Zindagi mein to apna pan har koi dikhata hai
Par apna hai kaun? Waqt batata hai.
Kamaal ke log hain
Time kisi ke paas nahi hai
Par time pass sab log kar rahe hain.
Waqt badal deta hai zindagi ke sabhi rang
Koi chaah ke apne liye udaasi nahi chunta.
Kaun kis ke saath mukhlis hai
Waqt har shakhs ki auqaat bata deta hai.
Maana ke waqt sataa raha hai
Lekin kaise jeena hai ye bhi seekha raha hai.
Waqt ka khel tha jo beet gaya
Ab hum khelenge aur waqt dekhega.
Waqt ke saath chalne ki insaan jitni marzi koshish kar le
Lekin ek waqt hi aisa aata hai ke insaan peeche reh jaata hai.
Mere saath baith kar waqt bhi roya ek din
Bola banda to theek hai, main hi kharab chal raha hoon.
Bad time (Bura Waqt) Shayari in English

Zindagi mein agar bura waqt na aata
To apnon mein chhupe gair
Aur ghairon mein chhupe apne kabhi zahir na hote.
Waqt bhi kamaal shay hai
Achhon ke saath accha hai, buron ke saath bura hai.
Khwaahishon se nahi girte phal jhooli mein
Waqt ki shaakh ko mere dost hilaana hoga.
Kuch nahi hota andheron ko bura kehne se
Apne hisse ka diya khud jalaana hoga.
Sabr rakh ae bande, accha waqt chala gaya
To bura waqt bhi zaroor chala jaayega.
Bura waqt batata hai ke
Accha waqt kis ke saath guzarna hai.
Bura waqt accha hai
Sahib
Taake logon ki pehchaan ho sake.
Achha waqt us ka hota hai
Jo kisi ka bura nahin sochta.
Kisi ke bure waqt par kabhi mat hansna
Kyunke waqt chehra yaad rakhta hai.
Achhe waqt mein har koi
Bure waqt mein koi koi.
Bure waqt mein bhi ek achhai hoti hai
Jaise hi aata hai, faltu ke log chale jaate hain.
Achhe waqt se zyada achha dost azeez rakho
Kyunki ek achha dost bure waqt ko bhi achha bana deta hai.
Achhe waqt mein aap ki galti bhi mazaaq lagti hai
Aur bure waqt mein mazaaq bhi galti lagti hai.
Shayari on Waqt in English
Waqt aur daulat do aisi cheezen hain
Jo insaan ke ikhtiyar mein nahi
Waqt insaan ko majboor aur daulat maghroor bana deti hai.
Ye to waqt waqt ki baat hai
Kabhi saath Shams o Qamar chalein
Kabhi saath saaya bhi chhod de.
Waqt ek talwar ke maanind hai
Agar tum iska istemaal sahi nahi karoge
To ye tumhe hi kaat kar rakh dega.
Waqt badalte hain to halaat badal jaate hain
Insaan to kya darwaze deewar badal jaate hain.
Bewafa badle ya na badle, ae mere dost
Waqt aane pe wafaadaar badal jaate hain.
Ek ghadi kya kharid li maine
Waqt peeche hi pad gaya mere.
Waqt guzar jaane ke baad agar kisi ko kisi ki qadr aajaye
To use qadr nahi, afsos kehte hain.
Tum tanha rehne ka sochna bhi mat
Tumhara waqt hoon, saath saath chalunga.
Waqt ka har lamha ye kehta hua guzra humse
Saath chalna hai to chal, main to chala jaaunga.
Waqt bahut gehre zakhm deta hai
Shaayad isi liye ghadi mein suiyaan hoti hain.
Tum kahin waqt ki baaton mein na aajaana
Kabhi ye humse bhi kehta tha ke main tera hoon.
Waqt bhi kitna matlab hai
Kis ka waqt badal de, kis ko pata.
Waqt aur halaat kabhi bhi ek jaise nahi rehte
Gardish duniya ke saath gardish taqdeer bhi hoti hai.
Apne waqt ko sambhaal kar rakhna yaara
Kabhi hum yaad aaye to nikaal lena waqt.
Waqt apna na rahe to
Apne bhi apne nahi rehte.
Waqt woh shafaf aaina hai
Jo bahut se chehre waazeh kar deta hai.
To ne, ae waqt, palat kar bhi kabhi dekha hai
Kaise hain sab teri raftaar ke maare hue log.
Waqt Shayari in Roman English
Waqt kisi ki jaagir nahi
Zaroorat se zyaada nahi milta
Aur Waqt se pehle nahi milta.
Saal kuch yun beet gaya
Kuch apne paraaye ho gaye aur kuch paraaye apne ho gaye.
Waqt hi batata hai insaan ki qadr
Warna kabhi ladoo mein insaan cho aur kabhi kaana ko tarasta hai.
Kho dene ke baad khayaal aata hai
Kitna qeemti tha
Woh waqt, insaan aur rishta.
Waqt aap ko bataa deta hai
Ke log kya the
Aur aap kya samajhte the.
Waqt dikhai nahi deta
Magar dekha bahut kuch deta hai.
Toota hua bharosa aur guzra hua waqt
Zindagi mein kabhi laut kar nahi aata.
Waqt lagega magar sambhal jaaunga
Thokar se gira hoon, nazron se nahi.
Waqt ek aisa parinda hai
Jo isko zaya karein, woh isko zaya kar dete hain
Jo isko behtar banayein, waqt isko accha bana deta hai.
Jab waqt faisla karta hai
Tab gawahon ki bhi zaroorat nahi padti.
Waqt apna na rahe to apne bhi apne nahi rehte.
Waqt, mausam aur log sab ki ek si fitrat hoti hai
Kab, kaun, kahan badal jaaye, pata hi nahi chalta.
Ye waqt ka taqaza hai ke teri qadr nahi
Woh bhi ek din roye ga waqt ki maar se.
Waqt ki asal ahmiyat Malik-e-Maut ko dekhne ke baad maloom hoti hai
Isliye maut ki tayari maut se pehle kar lo.
Zindagi ke kathin aur mushkil shab o roz guzr jaate hain
Lekin saath dene wale, saath chhod dene wale,
Aur saath ho kar bhi saath na dene wale hamesha yaad rehte hain.
Time Shayari in English
Kuch sawalon ke jawab sirf time deta hai
Aur jo jawab time deta woh lajawab hote hain.
Kabhi kabhi time ke saath sab
Theek nahin, sab khatam ho jata hai.
time achha bhi aayega
Gham na kar, zindagi padi hai abhi.
Nahin hoga kamzor kabhi tumhara, kabhi hamara rishta
Yeh to time ki saazish, kabhi tum masroof, kabhi hum.
Jab time hota hai to samajh nahin hoti
Jab samajh hoti hai to time nahin hota.
Itminaan rakhein
Waqt sab ki auqaat dikha dega.
Time karta hai parwarish barson
Haadsa ek dam nahin hota.
Mana ke waqt time raha hai
Lekin kaise jeena hai yeh bhi seekha raha hai.
Time ki raftaar mein kahan kho gaye hum
Kyun itni jaldi bade ho gaye hum.
Jo waqt ki qadr nahin karta woh aisa thokar khata hai
Ke waqt hi use waqt ki qadr sikhata hai.
Waqt ko zaya mat kiya karo
Waqt ke paas bhi itna waqt nahin ke aap ko dobara mil sake.
Sara shehar shanasaai ka daweedaar to hai lekin
Kaun hamara apna hai, waqt mila to sochenge.
Waqt aur pyaar dono hi khaas hote hain
Waqt kisi ka nahin hota aur pyaar har kisi se nahin hota.
Ek sa waqt kabhi nahin rehta
Din bigadte hain, sanwarte hain, guzhar jaate hain.
Bas is baat par khafa hai hum se gardish-e-waqt
Hum ne seekhe hi nahin andaaz-e-zamaane wale.
Samay Par Shayari 2 Line
Mushkil samay duniya ka ek aisa jadugar hai
Jo ek pal mein aap ki chahat ke daawedar ka chehra be-naqaab kar deta hai.
Samay bahut bade aur gehre zakhm deta hai
Isliye ghadi mein phool nahi, suiyaan hoti hain.
Aaj samay ne bataya ke jin ke liye tu ruka tha
Woh tujhe wahin chhod kar samay ke saath chal diye hain.
Maana ke samay sataa raha hai
Lekin kaise jeena hai ye bhi seekha raha hai.
Maangna hi chhod diya humne ab waqt kisi se
Kya pata, inkaar ke liye bhi unke paas waqt na ho.
Waqt ki raftaar mein kahan kho gaye hum
Kyun itni jaldi bade ho gaye hum.
Aaj mere paas tumhare liye koi waqt nahi hai
Kabhi waqt hi waqt tha, waqt waqt ki baat hai.
Use kehna sada mausam-e-bahaaron ke nahi rehte
Sabz patte bhi girte hain jab hawaayein rukh badalti hain.
Zindagi mein to apna pan har koi dikhata hai
Par apna hai kaun? Waqt batata hai.
Har rota hua lamha muskurayega
Sabr rakh ae dost, waqt apna bhi aayega.
Mujhe meri auqaat dikhane ke liye shukriya
Tumhe tumhari auqaat samay dikhayega.
Apne kuch lamhon ke urooj par ghuroor na karna
Kyunki samay badalne mein der nahin lagti.
Tum samay ko chhoti cheez mat samjho
Is ne bade bade badshahon ke din palat diye hain.
Shayari on Time (Waqt Par Shayari)
Waqt kisi ka nahin hota
Yeh sirf us ka hota hai
Jo sirf us ka hota hai.
Zindagi mein kabhi kisi ko mat sataana
Us waqt shaayad aap taaqatwar ho
Magar waqt aap se zyaada taaqatwar hai.
Halaat ek din sudhar jaayenge
Par kaafi log dil se utar jaayenge.
Waqt sabse bada ustaad hai
Ye zindagi ke woh sabaq bhi sikha deta hai
Jo koi ustaad nahi sikha paata.
Kisi ne poocha ke kaun apna hai aur kaun nahi
Jawab aaya, agar waqt apna hai
To sab apna hai, warna koi nahi.
Waqt kharab hua hai miyaar nahin
Munafiq chhor rahe hain yaar nahin.
Waqt ke samjhane ka tareeqa sakht aur talkh hota hai magar
Us ki samjhayi baat saari umr ke liye samajh mein aa jati hai.
Log badalte hain, badal jaane do
Sab peeche aayenge, achha waqt aane do.
Waqt badalta hai
Lekin waqt lagta hai.
Kuch is tarah se sauda kiya mujh se waqt ne
Tajurba de kar meri saari masoomiyat le gaya.
Waqt bahut badal gaya hai
Bachpan mein sone ke liye rone ka bahaana karte the
Aur ab rone ke liye sone ka bahaana karte hain.
Kaun kehta hai waqt bahut tez guzarta hai
Tum kabhi kisi ka intezaar to kar ke dekho.
Waqt ki be qadrī karne walo
Waqt tum se khud hi qadr karwa dega.
Ek waqt tha jab hum sochte the ke hamara bhi waqt aayega
Aur yeh ek waqt hai ke hum sochte hain, woh bhi kya waqt tha.
Conclusion
Waqt shayari in English beautifully expresses the reality of time and its deep connection with our emotions and life experiences. It reminds us that time is always changing, teaching, and shaping us in ways we often don’t realize. Through these meaningful lines, we learn to value every moment, accept the past, and move forward with wisdom. Waqt shayari in English is a reflection of life itself.