130+ Best Dard Shayari in English – Painful Lines for Sad Love

Dard is the pain we feel when something breaks inside us. It hits after a heartbreak, a loss, or a moment that leaves your heart restless. Sometimes, it’s hard to say what you’re feeling. Dard Shayari in English gives those silent emotions words, turning your pain into lines that speak the truth of your heart.

When your heart feels heavy, sad shayari can help you release what’s inside. Whether you’re facing a broken heart or just carrying quiet disappointment, English mein dard bhari shayari captures exactly what you’re going through. In this post, you’ll find lines you can write in your diary, share on social media, or keep to yourself. People understand your pain from the words.

Heart Touching Dard Shayari in English 2 Line

Dard Shayari in English

Bahut dukh dard diye zamaane ne
Magar woh saare dard kam lage tere ek dard se.

Jis dard se guzre hain hum
Tum guzarte to guzar gaye hote.

Mere to dard bhi auron ke kaam aate hain
Main ro padun to kai log muskurate hain.

Dard mein kar deta hai aur bhi izafa
Tere hote hue kisi aur ka dilaasa dena.

Bahut dard deta hai
Tera be-dard ho jaana.

Kya likhun dard apne dil ka
Dard bhi tum, dil bhi tum.

Hum hain ke tera dard chhupa kar dil mein
Kaam duniya ke badastoor kiye jaate hain.

Us se mohabbat bhi ajeeb qism ki hai
Woh dard bhi de to dard nahin hota.

Harf tasalli to ek takalluf hai warna
Jis ka dard, usi ka dard; baaki sab tamashaai.

Ho sakta hai mar jaaun chand dinon mein thoda thoda
Ek shakhs jala raha hai dil roz thoda thoda.

Aaj us ne ek aur dard diya to humein yaad aaya
Hum ne bhi to duaaon mein us ke saare dard maange the.

Aalam muskurane ka na poochho mujh se
Main aksar muskurata rehta hoon dard‑e‑dil ko chhupa kar.

Dard hadon ko chhoo jaaye to
Aankh mein aansu jam jaate hain.

Jaise phir kabhi hona hi nahin
Dard jab bhi hua is qadar hua.

Aziyat ka yeh maqam bhi darpesh hai ab
Sehna bhi dard hai aur kehna bhi nahin hai.

Tum pe guzregi to tum bhi jaan jaoge
Koi apna yaad na kare to kitna dard hota hai.

Heartfelt Dard Bhari Shayari in English

Painful Shayari in English

Tera dard tha teri yaad thi main jahan gayi main jidhar gayi
Mera din to yun hi guzar gaya jo raat aayi main bikhar gayi.

Suno har roz rula dete ho
Kisi ke dard se dard nahin hota tumhein.

Dard mein dard ka ehsaas kahan hota hai
Ek jagah ho to bataaun ke yahan hota hai.

Tere gumaan tak bhi nahin woh?
Jo dard seh bhi liye hum ne.
Jo zaahir ho jaaye woh dard kaisa
Aur jo dard samajh na sake woh hamdard kaisa.

Aise hi nahin hasta koi kuch dard aise hote hain
Jo muskara kar hi chhupaye jaate hain.

Ek do zakhm nahin saara badan chhalni hai
Dard bechaara pareshaan hai kidhar se nikle.

Chaand ke saath kai aansu puraane nikle
Kitne dard the jo tere dard ke bahaane nikle.

Suna hai dard ka ehsaas apnon ko hota hai
Jab dard apne dein, to ehsaas kaun karega.

Dard deti hai khaamoshi teri
Maar deta hai tera bekhabar rehna.

Na lafzon ka lahu nikalta hai na kitaabein bol paati hain
Mere dard ke do gawaah the dono be-zabaan nikle.

Roya tha bahut us ke darwaze par dastak de kar
Dard ki intiha hogayi jab us ne poocha ke kaun ho tum.

Yaqeen na aaye to ek baar poochh kar dekho
Jo hans raha hai woh zakhmon se choor niklega.

Yeh mujhe chain kyun nahin padta
Ek hi shakhs tha jahan mein kya.

Woh aaye to use kehna hum ne chhod di saari mehfilen
Ab na koi dard hoga aur na hi koi hamdard hoga.

Koi kisi ke dard ki marham nahin banta
Jis ko chot lagti hai takleef usi ko hoti hai.

Zindagi Dard Bhari Shayari in English

Dard Bhari Shayari in English

Suna tha dard aksar be-dard log hi diya karte hain
Magar hamari zindagi to ek masoom chehre ne ujaad di.

Itna dard na diya kar ae zindagi
Har kisi ke paas hamdard nahin hota.

Zindagi na kar saki is dard ka ilaaj
Sukoon tab tab mila, jab jab tujhe yaad kiya.

Kisi dard ko sambhaal paana aasaan nahin
Hanste hue har pal bataana aasaan nahin.
Zindagi mein har koi dil mein bas nahin paata
Aur jo bas jaaye us ko bhool jaana aasaan nahin.

Hum ne sameete hain dard duniya ke
Tum se ek hum na sambhaale gaye.

Saraapa aarzu hoon dard hoon daagh‑e‑tamanna hoon
Mujhe duniya se kya matlab ke main aap apni duniya hoon.

Chun chun ke de rahe hain dard yun duniya wale
Gin gin ke jaise li ho khushi har kisi se hum ne.

Kuchh din se main ne dard ka charcha nahin kiya
Duniya samajh rahi hai ke shaayad sukoon se hoon.

Bayaan‑e‑dard par ahl‑e‑zabaan se daad milti hai
Zabaan‑e‑dard lekin chand ahl‑e‑dil samajhte hain.

Kya poochhte ho mujh se dard kahaan hota hai
Ek jagah ho to bataaun ke yahaan hota hai.

Wohi mehsoos karte hain saza dard mohabbat ki
Jo apni zaat se badh kar kisi se pyaar karte hain.

Dard Sad Shayari in Hindi English

Dard to zakhm ki patti ke hatane se utha
Aur kuchh aur bhi marham ke lagane se utha.
Us ke alfaaz tasalli ne rulaya mujh ko
Kuchh zyada hi dhuan aag bujhane se utha.

Aaj us ne apne dard bhi alag kar liye
Aaj main roya to mere saath roya na tha.
Dard o tanhaai mein shab o roz guzar jaate hain
Bas is haal mein jeete aur mar jaate hain.

Dard hai dil mein par us ka ehsaas nahin hota
Rota hai dil jab woh paas nahin hota.
Are barbaad ho gaye hain us ke pyaar mein
Par woh kehta hai is tarah pyaar nahin hota.

Paas jab tak woh rahe dard thama rehta hai
Phailta jaata hai phir aankh ke kaajal ki tarah.
Ae musavvir tujhe main ustaad maanu
Dard bhi kheench meri tasveer ke saath.

Shadeed itna raha tera intezaar mujhe
Ke waqt minnatein karta raha guzaar mujhe.
Chala main rooth kar aawaaz tak na di us ne
Main dil mein cheekh ke kehta raha pukaar mujhe.

Aks padte hi aaine sabhi toot gaye
Nabz kaati to ragen khoon se khaali niklein.
Mera dil dard musalsal ki giraft mein raha
Khushk aankhon se khwabon ki laashen niklein.

Kitne door nikal gaye rishte nibhaate nibhaate
Khud ko kho diya apnon ko paate paate.
Log kehte hain hum muskuraate bahut hain
Aur hum thak gaye dard chhupaate chhupaate.

Dard Bhari Bewafa Shayari 2 Line

Kaise karun muqadma us par uski bewafai ka
Kambakht ye dil bhi usi ka wakeel nikla.

Teri wafaaon ka samandar kisi aur ke liye hoga
Hum to tere saahil se roz pyase hi guzar jaate hain.

Kuch es tarah se chora us ne,
K sari umar qasoor dhoondte rahe apna.

Wafadar Aur tum Khayal Acha hai,
Bewafa aur hum Elzam bhi acha hai.

Bewafa se wafa Karna,
K jaise sokhe hue shaakh ko hara karna.

Jab koi kisi ka saath chodta hai,
Tu Aankhein nahi dil bhi rota hai.

Mujhe bas itna bata do sahib,
Intezar karo ya badal jao tumhari tarah.

Wade wafa kyon tor giya tu,
Beach safar kyon chor giya tu.

Us k tabussum ki masomiyat pe na ja,
Bewafa log bade fankar hua karte hein.

Nahin chahiye kuch bhi teri ishq ki dukaan se
Har cheez mein milawat hai bewafai ki.

Mat pooch sheeshe se uske tootne ki wajah
Usne bhi meri tarah kisi patthar ko apna samjha hoga.

Maine insaan ki wafaa par yaqeen karna chhod diya hai
Jab kismat badal sakti hai to ye mitti ke insaan kyun nahi.

Ahista kijiye qatl mere armaanon ka
Kahin sapnon se logon ka aitbaar na uth jaaye.

Unse keh do apni khaas hifaazat kiya kare
Beshak saansein unki hain par jaan to meri hai.

Kaise bhula doon us bhoolne wale ko main
Maut insaan ko aati hai yaadon ko nahi.

Pyaar mein mere sabr ka imtihaan to dekho
Wo meri hi baahon mein so gaye kisi aur ke liye rote rote.

Dard e Dil Shayari for Broken Heart in English

Is dard‑e‑dil ka hamein pata na tha
Aayenge aansu aankhon mein yeh pata na tha.
Woh to chale gaye bhool ke hum ko
Hum us ke bin jee na paayenge yeh pata na tha.

Dil ka dard dil todne wale kya jaanen
Pyaar ki taqat zamane wale kya jaanen.
Kitna dard hota hai qabar mein
Yeh upar se phool daalne wale kya jaanen.

Tum se mohabbat itni hai Ke
Tumhaara diya har dard seh sakti hoon
Par tum se doori nahin seh sakti.

Yoon tere dard mere dil mein utha karte hain
Jaise uthte hain jawaani mein janaaze.

Tumhein bataaun ke ab aur tum se kya maangun
Yeh dard‑e‑dil jo diya hai mujhe woh kya kam hai.

Kamaal ki mohabbat karta hai woh shakhs hum se
Jab dil chaha hansa diya, jab dil chaha rula diya.

Bheegi mitti ki mehak pyaas badha deti hai
Dard barsaat ki boondon mein basa karta hai.

Wohi mehsoos karte hain khalish dard mohabbat ki
Jo apne aap se badh kar kisi ko pyaar karte hain.

Is dard‑e‑dil ka hamein pata na tha
Aayenge aansu aankhon mein yeh pata na tha.
Woh to chale gaye bhool ke hum ko
Hum us ke bin jee na paayenge yeh pata na tha.

Bayaan‑e‑dard par ahl‑e‑zabaan se daad milti hai
Zabaan‑e‑dard lekin chand ahl‑e‑dil samajhte hain.

Har dardmand dil ko rona mera rola de
Behosh jo pade hain shayad unhein jaga de.

Tujh se pehle bhi kai zakhm the seene mein magar
Ab ke woh dard hai dil mein ke ragen toot ti hain.

Sad Dard Bhari Aansu Shayari

Agar in aansuon ki kuch keemat hoti
To kal raat wala takiya arbon mein bikta.

Maine aansu ko samjhaya bhari mehfil mein na aaya karo
Aansu bola tumko bhari mehfil mein tanha paate hain.
Isiliye to chupke se chale aate hain.

Kaun khareedega ab heere ke daam mein tumhare aansu
Wo jo dard ka saudagar tha, mohabbat chhod di usne.

Kaash wo nagme sunaye na hote
Aaj unhe sunkar ye aansu aaye na hote.
Agar is tarah bhool jaana hi tha
To itni gehraai se dil mein samaaye na hote.

Raat saari tadapte rahenge hum
Aaj phir khat tere padh liye shaam ko.

Na aana lekar use mere janaze mein
Meri mohabbat ki tauheen hogi.
Main chaar logon ke kandhe par hoonga
Aur meri jaan paidal hogi.

Teri aarzoo mera khwaab hai
Jiska rasta bahut kharaab hai.
Mere zakhm ka andaaza na laga
Dil ka har panna dard ki kitaab hai.

Humne dil jo wapas maanga to sar jhuka ke bole
Wo to toot gaya yun hi khelte khelte.

Khushiyan to kab ki rooth gayi hain kaash ki
Is zindagi ko bhi kisi ki nazar lag jaaye.

Ae zindagi tu apni raftaar pe na itra
Jo rok li maine apni saansein to tu bhi chal na paayegi.

Hai koi wakeel jahan mein doston
Jo haara hua ishq jita de mujhko.

Na thehro mere dil ki waadi mein chalte chale jao
Rukogi to phir se ishq kar baithogi.

Dard Mohabbat Shayari Two Lines

Agar dard mohabbat se na insaan aashna hota
Na kuchh marne ka gham hota na jeene ka maza hota.

Socha tha ke khuda ke siwa mujhe koi barbaad kar nahi sakta,
Phir unki mohabbat ne mere saare veham tod diye!

Khabardar dobara mohabbat na karna,
Zaroori nahi har baar khudkushi ki koshish karke zinda bach jao!

Jitni sachchi mohabbat karo ge
Utna gehra dard hi paao ge.

Girah jo lag jaaye to sulajhna itna bhi aasaan nahin
Dard mohabbat se sambhalna itna bhi aasaan nahin.

Kuchh dard ki shiddat hai kuchh paas mohabbat hai
Hum aah to karte hain fariyaad nahin karte.

Mohabbat khwah logon ki ho ya cheezon ki
Ek cheez dono mein mushtarik hoti hai Dard.

Wohi mehsoos karte hain saza‑e‑dard mohabbat ki
Jo apni zaat se badh kar kisi se pyaar karte hain.

Hai baja shivah tasleem main mashhoor hain hum
Qissa dard sunate hain ke majboor hain hum.

Saaz khamosh hain fariyaad se mamoor hain hum
Naala aata hai agar lab pe to maazoor hain hum.

Ae Khuda shikwa‑e‑arbaab‑e‑wafa bhi sun le
Khwagar‑e‑hamd se thoda sa gila bhi sun le.

Main bahut khush hoon tere baghair
Yaqeen kar yeh goliyan sirf dard ki hain.

Tabeeb yoon koshish na kar tujhe kya khabar mere marz ki
Ja pehle ishq kar phir chot kha phir kar dawa mere dard ki.

Aisa kar apna dard mujhe de de phir
Main jaanoon dard jaane dawa jaane Khuda jaane.

Hamdardi na karo mujh se mere hamdard
Woh bhi bade hamdard the jinhon ne dard hazaaron diye.

Heartbreaking Dard Wali Shayari

Main to samajhti thi ke mera dard tumhara dard hai
Lekin aaj tum ne saabit kar hi diya ke mera dard sirf mera hi hai.

Roz tum mujhe dard dete ho
Kya tumhein kisi ke dard se dard nahin hota.

Zakhm de ke na pooch dard ki shiddat
Dard to dard hai thoda kya zyada kya.

Matlab ke rishton se jo dard milta hai
Kya karein us dard ki koi dawa hi nahin hai.

Us ki aawaaz sun loon to mil jaata hai sukoon dil ko
Dekho to sahi mere dard ka ilaaj kaisa hai.

Dard hamesha aisa hi mila
Jis ki koi dawa na thi.

Yaad rahe ga daur‑e‑hayaat
Bahut tarse the ek shakhs ko hum.

Ab har takleef hansa deti hai
Ab har dilaasa rula deta hai.

Hum tere hain yeh raaz to tum jaan gaye
Tum kis ke ho yeh dard humein sone nahin deta.

Kabhi paas baitho to bataaen ke dard kya hai
Yoon door se poochhoge to khairiyat hi bataaenge.

Nahin ishq ka dard lazzat se khaali
Jise zauq hai woh maza jaanta hai.

Puraane dard mein shiddat nahin rahi
Use kaho mujhe ek baar phir apna bana ke chhod de.

Agar dard tehreer hota
To lafzon ke janaaze nikalte.

Mushkilon se sulaaye the hum ne
Tum mile ho to dard jaag uthe hain.

De koi tabeeb aa ke humein aisi dawa
Ke lazzat bhi rahe dard ki mil jaaye shifa bhi.

Hans kar har museebat ko seha hai main ne
Is umeed par ke aaj se behtar mera kal ho ga.

Tumhein to main ne hamdard maana tha
Lekin…
Mujhe to saare dard tum hi se mile.

Tujh se wafa na ki to kisi se wafa na ki
Kis tarah inteqaam liya apne aap se.

Dard Poetry in Urdu

Ek dard musalsal mujhe sone nahin deta
Dil sabr ka aadi mujhe rone nahin deta.
Main us ka hoon yeh raaz to woh jaan gaya
Par woh kis ka hai yeh sawaal mujhe sone nahin deta.

Tha dard ka taqaaza ke beh jaaye aankh se
Par zabt‑e‑ba‑kamaal ne rone nahin diya.

Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mita doon
Kuch dard kaleje se lagaane ke liye hote hain.

Na rok qalam mujhe dard likhne de
Aaj to dard royega ya phir
Dard dene wala.

Woh likhta gaya aur banata gaya
Main ne jitna bhi padhna chaha dard utna hi ulajhta gaya.

Aaye koi aakar tere yeh dard sambhale
Hum se to yeh jaagir sambhaali nahin jaati.

Dard kuchh aur badh jaate hain
Jab dene wale apne hon.

Kyon hijr ke shikwe karta hai kyon dard ke rone rota hai
Ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai.

Talkh lehjon ki aadat ho gayi jab se
Hamein meetha lehja dard deta hai.

Jab dard urooj par ho
Tab main zakhmon se khelta hoon.

Waqt har zakhm ka marham nahin ban sakta
Kuchh dard hote hain tamaam umr rulaane ke liye.

Ghazab ke hamdard ho tum
Siwaaye dard ke kuchh nahin dete.

Woh aata nahin is liye dard jaata nahin
Woh aata hai to dard badh jaata hai.

Kabhi kabhi dard ki woh shiddat hoti hai
Jise bayaan karna bhi aziyat hoti hai.

Ta’aruf rog ho jaaye to us ka bhoolna behtar
Ta’alluq bojh ban jaaye to us ko todna achha.

Jis ka dard usi ka dard
Baaqi sab tamashaai.

Main ne namak bhi zakhmon pe chhidak kar dekha hai zaalim
Itna dard nahin hota jitna teri be‑rukhi deti hai.

Love Dard Shayari for Broken Heart In English

Ae chaand chala ja kyun aaya hai meri chaukhat par
Chhod gaye wo shakhs jiski yaad mein hum tujhe dekha karte the.

Kinare par tairti laash ko dekh kar ye samajh aaya
Bojh shareer ka nahi saanson ka tha.

Hausla mujh mein nahi usko bhulaane ka,
Kaam sadiyon ka lamhon mein kahan hota hai.

Badalti cheezein hamesha achhi lagti hain,
Lekin badalte hue apne kabhi achhe nahi lagte

Ajeeb log baste hain tere sheher mein zaalim,
Marammat kaanch ki karte hain patthar ke auzaar se.

Ehsaas to tera bhi hai ek mujh par zaalim,
In nazron se na tu nikla, na mujhe nikalne diya.

Main apni chahaton ka hisaab karne jo baith jaaun
Tum to sirf mera yaad karna bhi na lauta sakoge.

Use ye kaun batlaaye, use ye kaun samjhaaye
Khamosh rehne se taalluq toot jaate hain.

Samandar ke beech pahunch kar fareb kiya usne
Wo kehta to sahi, kinare par hi doob jaate hum.

Is duniya ke log bhi kitne ajeeb hain na
Saare khilone chhod kar jazbaaton se khelte hain.

Wo jaan gaya humein dard mein bhi muskurane ki aadat hai
Isliye wo roz naya dukh deta hai meri khushi ke liye.

Itna aasaan hoon ke har koi samajh jaata hoon
Shayad tumne hi panne chhod chhod kar padha hai mujhe.

Painful Sad Heart Touching Shayari

Hum ne accha ban kar dekha hai murshid
Log phir bhi bura kehte hain.

Aur mujhe lagta hai hum woh log hain
Jo sar dard se marenge ek din.

Zakhm dene wale to bahut hain
Lekin marham lagaane wala koi nahin.

Hum nahin maante the phir ek din
Us ki wahshat ne hum ko samjhaya
Hum faqat baais‑e‑aziyat hain.

Kabhi kaif‑e‑mujassam hoon kabhi shauq‑e‑saraapa hoon
Khuda jaane kis ka dard hoon kis ki tamanna hoon.

Na gile rahe na gumaan rahe na guzarishen raheen na guftagu
Na main raha na tum rahe na farmaaishen raheen na justuju.

Us ko sun loon to sabhi dard sukoon lagte hain
Jaane kis dhun mein woh lafzon ko ada karta hai.

Main dard ka gaahak hoon so buhtaan taraasho
Buhtaan bhi aisa ke kamar tod ke rakh de.

Un ke andaaze karam un pe jo aana dil ka
Haaye woh waqt woh baatein woh zamaana dil ka.
Na suna us ne tawajjoh se afsaana dil ka
Umr guzri hai magar dard na jaana dil ka.

Us ko ghilaaf‑e‑rooh mein rakha sambhaal kar
Woh zakhm bhi to kisi aashna ka tha.

Jo woh de gaya kya woh dard tha
Agar dard tha to kamaal tha.
Na main jee saka na main mar saka
Yeh kamaal kaisa mahaal tha.

Best Painful Shayari in Hindi Roman

Ajeeb sa zehar hai teri yaadon mein,
Marte marte mujhe saari zindagi lagegi!

Wo bhi zinda hai, main bhi zinda hoon,
Qatl sirf ishq ka hua hai.

Ja ja kar dhadak uske seene mein ae dil,
Hum uske bina jee rahe hain to tere bina bhi jee lenge!

Tumne kya socha ke tumhare siwa koi nahi mujhe chahne wala,
Pagli chhod kar to dekh, maut taiyaar khadi hai mujhe apne seene lagane ke liye!

Choom kar kafan mein lipte mere chehre ko usne tadap ke kaha,
Naye kapde kya pehen liye, humein dekhte bhi nahi!

Woh roz dhoondhta hai naya bahaana mujhe dard dene ka
Use kaho kabhi marham lagaane ka bahaana bhi dhoonde.

Kehte hain ke waqt ke saath har zakhm bhar jaata hai
Magar sach to yeh hai ke hum dard ke saath jeena seekh jaate hain.

Aadat badal si gayi hai waqt kaatne ki
Ab himmat hi nahin hoti kisi ko apna dard baantne ki.

Aur phir yoon hua
Mujhe khushiyon mein nahin
Dard mein sukoon milne laga.

Talaash kar meri kami ko apne dil mein
Agar dard hua to samajh lena ke rishta abhi bhi baaki hai.

Takleef Dene Wali Shayari

Ae meri zindagi yun mujhse daga na kar,
Use bhula kar zinda rahu dua na kar.

Koi use dekhta hai to hoti hai takleef,
Ae hawa tu bhi use chhua na kar.

Na sangharsh na takleef to kya maza hai jeene mein,
Bade bade toofan tham jaate hain jab aag lagi ho
Seene mein.

Saza deni to mujhe bhi aati hai,
Par tum takleef se guzro,
Ye mujhe gawaara nahi.

Chehre ajnabi ho jaye
To koi baat nahi,
Mohabbat ajnabi hokar
Badi takleef deti hai.

Achhe dost haath aur aankh ki tarah hote hain,
Jab haath ko takleef hoti hai, to aankh roti hai,
Aur jab aankh roti hai to haath aansu pochte hain.

Takleef wo jo tadpa de,
Teacher wo jo saza de,
Mohabbat wo jo wafa de,
Dushman wo jo marwa de,
Aur apna wo
Jo Diwali ki safai karwa de.

Takleef mit gayi,
Magar ehsaas reh gaya.

Khush hoon ki kuch na kuch to,
Mere paas reh gaya.

Kuch log zindagi me aise hote hain,
Chahe wo takleef kitni bhi dein,
Lekin unse mohabbat kabhi kam nahi hoti.

Kaash koi aisa ho,
Jo gale laga kar kahe,

Tere dard se,
Mujhe bhi takleef hoti hai.

Maut sirf naam se badnaam hai,
Warna takleef to zindagi hi zyada deti hai.

Dil ki dastaan bhi badi ajeeb hoti hai,
Badi mushkil se ise khushi naseeb hoti hai.

Kisi ke paas aane par khushi ho na ho,
Par door jaane par badi takleef hoti hai.

Leave a Comment