120 Happy Birthday Wishes Shayari In English – Janmdin Ke Liye

Finding the right words to make someone feel special on their big day is never easy. That is why many people love using Happy Birthday Shayari Wishes in English. They are short, heartfelt, and filled with emotions that touch the heart.

In our culture, a sagirah din is more than cutting the cake and lighting candles. It is about love, joy, and the happiness of being together. A few lines of shayari can say what simple wishes often cannot.

Every Janmdin is a new chance to share love in a creative way. Whether it is for a friend, family member, or someone close, the right words make the moment brighter. Here you will find the best Happy Birthday wishes to make that day unforgettable.

Heart Touching Birthday Shayari To Spread Happiness

Happy Birthday Shayari Wishes in English
Happy Birthday Shayari Wishes in English

Khuda buri nazar se bachaaye aap ko,
Chaand sitaaron se sajaaye aap ko.
Gham kya hota hai ye aap bhool hi jaao,
Khuda zindagi me itna hansaaye aap ko.
Happy Birthday

Phoolo sa mehakta rahe hamesha jeevan tumhara,
Khushiya chume kadam tumhare.
Yehi bahut saara pyaar aur aashirvaad hai hamara .
(Janm Din Mubarak) πŸŽ‚

Tamannaon se bhari ho zindagi,
Khwaahishon se bhara ho har pal.
Daman bhi chhota lagne lage,
Itni khushiyaan de aapko aane wala kal.
Janmdin ki Shubhkaamnayein. πŸŽ‚βœ¨

Jab tak ye zameen aasmaan rahe,
Upar wala teri zindagi salaamat rakhe.
Happy Birthday to You!! πŸŽ‰πŸŽ‚

Har lamha aapke hothon pe muskaan rahe,
Har gham se aap anjaan rahe.
Jiske saath mehek uthe aapki zindagi,
Hamesha aapke saath woh insaan rahe.

Naye baras ka aagaaz ho chala jana,
Tumhe mubaarak saalgirah ka din apna,
Sada khush raho tum apni zindagi,
Yahi dua hai meri! πŸŽ‚πŸŽ‚

Janmdin ki haardik haardik shubhkaamnayein,
Aapko woh sab mile jo aap chahte hain,
Aur aapke jeevan ka har din shandaar ho. πŸŽ‚βœ¨

Dil ki har khwaahish poori ho aapke,
Aur aapko mile khushiyon ka jahaan.
Agar aap maange aasmaan ka ek taara,
To Khuda de de aapko saara aasmaan.
Janmdin Mubaarak ho. πŸŽ‚βœ¨πŸŒ™

Aaj hi ke din ek chaand utar ke aaya tha,
Upar wale ne badi fursat se.
Aaj ek noor banaya tha,
Janmdin Mubaarak ho.

Sooraj roshni lekar aaya hai,
Chidiyon ne khub gaana gaya hai.
Phoolon ne hans hans kar bola,
Mubaarak ho tumhara janmdin aaya hai.

Ye shubh din aaye aapke jeevan mein,
Hazaar baar hum aapko janmdin.
Mubaarak kehte rahenge har baar.

Best Happy Birthday Shayari In English Hindi

Birthday Shayari
Happy Birthday Shayari Wishes in English

Jeevan mein aashirvaad mile badon se,
Sahyog mile chhoton se,
Khushi mile duniya se,
Pyaar mile sab se,
Yahi dua hai meri Rab se.
Janmdin ki Haardik Shubhkaamnayein.

Janmdin par aapko mile dher saara pyaar,
Aaj ke jaise aapke jeevan mein aate rahein,
Hamesha khushiyon ke uphaar.

Ye shubh din aapke jeevan mein aaye hazaar baar,
Aur hum aapko yunhi wish karte rahein baar baar,
Aapko Janmdin Mubaarak ho!

Main har ghadi tumhara saath nibhaau,
Hazaar janm tumhaare saath paau,
Sada khush rahe jodi humaari,
Har janmdin tumhaare saath manaau!

Aashaon ke deep jale,
Aashirvaad uphaar mile.
Janmdin hai tumhaara,
Shubhkaamnaon sang khoob pyaar mile.
Happy Birthday πŸŽ‚βœ¨πŸ•―οΈ

Baar baar din ye aaye,
Baar baar ye dil gaaye,
Tu jiye hazaaro saal,
Yahi hai meri aarzu.
Janmdin ki Shubhkaamnayein. πŸŽ‚

Zindagi ki kuch khaas duaayein le lo humse,
Janm-din par kuch nazraane le lo humse.
Bhar de rang jo tere jeevan ke palon mein…
Aaj wo haseen mubaarakbaad le lo humse.
Happy Birthday Dear! πŸŽ‚βœ¨πŸ’

Ye mahina ye din ye tareekh jab jab aayi,
Humne pyaar se janmdin ki mehfil sajaayi.
Har shamma par naam likh diya dosti ka,
Iski roshni mein chaand jaisi teri soorat samaayi.

Hamaari to dua hai koi gila nahi,
Wo gulaab jo aaj tak khila nahi,
Aaj ke din aapko wo sab kuch mile,
Jo aaj tak kisi ko kabhi mila nahi!
Happy Birthday πŸŽ‚

Deepak mein agar noor na hota,
Tanha dil itna majboor na hota,
Hum aapko khud Birthday wish karne aate,
Agar aapka aashiyana itni door na hota.
πŸ’• Happy Birthday πŸŽ‚

Phoolon ne amrit ka jaam bheja hai,
Sooraj ne gagan se salaam bheja hai.
Mubaarak ho aapko naya janmdin,
Tahe-dil se humne ye paigaam bheja hai.

Heartfelt Happy Birthday Shayari In Roman English

Janmdin Shayari
Happy Birthday Shayari Wishes in English

Nikalta hua sooraj dua de aapko,
Khilta hua phool khushboo de aapko,
Hum to kuch dene ke kaabil nahi,
Khuda hazaar khushiyaan de aapko..
Happy Birthday. πŸŒΈβ˜€οΈπŸŽ‚βœ¨

Tumhare janmdin par ye dua hai humaari,
Jitne hon chaand taare utni umr ho tumhaari!
Happy Birthday πŸŽ‚ πŸŒ™βœ¨

Chehra aapka khila rahe gulaab ki tarah,
Naam aapka roshan rahe aaftaab ki tarah,
Gham mein bhi aap hanste rahe phoolon ki tarah,
Agar hum is duniya mein na rahein aaj ki tarah,
To bhi apna janmdin manate rehna isi tarah.

Tum jo kaho wo har khwaahish poori ho tumhaari,
Tumhare janmdin par Khuda se bas,
Yahi dua hai humaari! πŸŽ‚
Happy Birthday 🎈

Rab kare aap enjoyment se bharpoor,
Aur smile se apna aaj ka din celebrate karo,
Aur bahut saari surprises paao,
Happy Birthday to You!! πŸŽ‚πŸ₯³πŸŽβœ¨

Is janmdin aap apne sapne batao nahi, balki sabko dikhao.
Happy Birthday πŸŽ‚βœ¨

Khwaahish ke samandar ke sab moti naseeb hon,
Tere chahne waale sab tere hardam kareeb hon,
Kuch yun utare tere liye rehmaton ka mausam,
Ki teri har dua har khwaahish kabool ho.
Janmdin ki laakh laakh badhaai… πŸŽ‚

Tum jiyo hazaaro saal,
Saal ke din ho pachaas hazaar,
Janmdin ki Haardik Shubhkaamnaye!

Dil ka tohfa de doon, ya de doon chaand taare,
Janmdin pe tujhe kya doon poochhe mujhse saare,
Ye zindagi tere naam kar doon to bhi kam hai,
Daaman mein bhar doon main har khushi tumhaare.

Khushiyaan aapke zindagi mein behisaab ho,
Aaj ka har ek pal khaas ho.
Happy Birthday πŸŽ‚βœ¨

Har raah aasan ho, har raah pe khushiyaan ho,
Har din khubsurat ho, yahi har din meri dua ho,
Aisa tumhaara har janmdin ho! πŸŽ‚βœ¨πŸŒΈ

Birthday Shayari For Lover And Best Friend

Dharti se aasmaan tak naam ho aapka,
Khushiyon ka har chaman ho aapka,
Hum to rahte hain chhoti si duniya mein,
Ishwar kare saara jahaan ho aapka.
Janmdin ki Shubhkaamnayein.

Likh doon tumhaari umr main chaand-sitaaron se,
Janmdin manaau tumhaara phool-bahaaron se,
Har ek khoobsurti duniya ki laakar de doon,
Mehfilein saja doon haseen-haseen nazaron ki.

Janmdin ke ye khaas lamhe mubaarak,
Aankhon mein base naye khwaab mubaarak,
Zindagi jo lekar aayi hai aapke liye aaj,
Wo tamaam khushiyon ki haseen saugaat mubaarak…
Janmdin ki Shubhkaamnayein.

Tamaam umr tumhe zindagi ka pyaar mile,
Khuda kare ye khushi tumko baar baar mile,
Tumhe janmdin ki dher saari shubhkaamnayein.

Tu mera yaar nahi, tu hai mera sansaar,
Aaj hai shubh din, Happy Birthday mere yaar,
Happy Birthday! πŸŽ‚πŸŽ‰πŸ’

Janmdin ke shubh avsar par bhent karu kya uphaar tumhe,
Bas ise hi sveekar kar lena,
Laakhon laakhon pyaar tumhe.
Janmdin ki haardik shubhkaamnaye

β€œPyaar se bhari zindagi mile aapko,
Khushiyon se bhare pal mile aapko,
Kabhi kisi gham ka saamna na karna pade,
Aisa aane wala kal mile aapko.
❀ Happy Birthday πŸŽβ€

Buland rahe hamesha aapke sitare,
Talti rahein aapki saari balaayein,
Isi dua ke saath aapko,
Janmdin ki haardik shubhkaamnayein!

Sitaaron se aage bhi koi jahaan hoga,
Jahan ke saare nazron ki kasam,
Aapse pyaara wahan bhi koi na hoga,
Janmdin Mubaarak ho!

β€œDuaayein khushiyaan mile aapko Khuda se,
Rehmat aur pyaar mile aapko,
Aapke hothon par bani rahe hamesha muskaan,
Itni khushiyaan mile aapko!
Janmdin bahut bahut mubaarak ho πŸŽ‚β€

Happy Janmdin Shayari Wishes In English For Bestie

Gham na ho wahan jahan ho fasana aapka,
Khushiyaan dhoondhti rahe aashiyana aapka,
Wo waqt hi na aaye jab aap udaas ho,
Ye duniya bhula na sake muskurana aapka.
Janmdivas ki Shubhkaamnayein.

β€œHar khushi par haq ho aapka,
Khushiyon bhara safar ho aapka,
Gham kabhi karvat na le aapki taraf,
Sada muskurata rahe chehra aapka.
Janmdin ki haardik shubhkaamnaye!”

Tumhari is ada ka main kya jawab doon,
Mere pyaar ko main kya tohfa doon,
Main koi accha sa gulaab mangwata par socha,
Jo khud gulaab hai, use kya gulaab doon!
Happy Birthday πŸ’ž

Puri umr aapko pyaar hi pyaar mile,
Is janmdin par khushiyon ki bahaar mile,
Jis khushi ke liye tarsati hai duniya,
Wo khushi aapko baar-baar mile.
Janmdin ki Shubhkaamnayein.

Tumhari raah ka har patthar phool ban jaaye,
Khushiyon ke baadal jhoom ke baras jaaye,
Jo maanga hai tumne Rab se wo tumko mil jaaye,
Janmdin ki Shubhkaamnayein.

Aapke janmdin par hum dete hain ye dua,
Khushiyan aapke daaman se kabhi na hon juda,
Khuda ki rehmaton mein kabhi kami na aaye,
Aapke hothon ki ye muskurahat na jaaye.

Dil se meri dua hai ki khush raho tum,
Mile na koi gham jahan bhi raho tum,
Samundar ki tarah dil hai gehra tumhaara,
Sada khushiyon se bhara rahe daaman tumhaara.
Janmdin Mubaarak.

Aapke jeevan mein yeh haseen pal,
Baar-baar aayein aur hum har baar aise hi,
Aapka janmdin manayein!

Har din se pyaara lagta hai humein aaj ka ye din,
Jise nahi bitana chaahenge kabhi hum aapke bin!

Salgirah Shayari, Best wishes for a Special Day

β€œBahut bahut mubaarak hai ye samaa,
Bahut hi nayaab lag raha aaj jahaan.
Aapse door hoon, sveekaar kijiye ye sandesh,
Aap ke janmdin se saja hai aaj saara jahaan.

β€œHum aapke janmdin par dete hain yeh dua,
Hum aur tum milkar, honge kabhi na juda.
Jeevan bhar saath denge apna hai ye wada,
Tujh par apni jaan bhi denge, apna hai ye iraada.”

β€œUgta hua sooraj dua de aapko,
Khilta hua phool khushboo de aapko.
Hum to kuch dene ke kaabil nahi hai,
Dene wala hazaar khushiyaan de aapko.
Happy Birthday” πŸŽ‚

Aap wo phool ho jo gulshan mein to nahi khilte,
Par jispe aasman ke farishte bhi fakr karte.
Aapki zindagi had se zyaada keemti hai,
Janmdin aap hamesha manayein yun hi hanste hanste.”

Motiyaan, bela, phool, kaliyan,
Dekho yaaro sab to hain na.
Aaj tumhaari saalgirah hai,
Dekho humko yaad to hai na,
Happy Birthday.

Khushi se bite har din,
Har raat suhaani raat ho.
Jis taraf aapke kadam pade,
Wahan phoolon ki barsaat ho.
Happy Birthday.

Ho poori dil ki har khwaahish aapki,
Aur mile khushiyon ka jahaan aapko.
Agar aap maange aasmaan ka ek taara,
Toh Bhagwaan dede saara aasmaan aapko.
Happy Birthday.

Phool khilte rahein zindagi ki raah mein,
Hansi chamakti rahe aapki nigaah mein.
Kadam kadam par mile khushi ki bahaar aapko,
Dil deta hai yahi dua baar-baar aapko.
Happy Birthday.

Janamdin Ki Hardik Shubhkamnaye

Apne yaar ko kya tohfa du,
Tumhaari is ada pe kya jawaab du.
Koi accha sa phool hota to mangvaata maali se,
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab du.
Happy Birthday.

Har raah aasaan ho,
Har raah pe khushiyaan ho,
Har din khoobsurat ho,
Aisa hi poora jeevan ho,
Yahi har din meri dua ho,
Aisa hi tumhaara har janmdin ho.

Aayi hai subah vo roshni leke,
Jaise naye josh ki nayi kiran chamke,
Vishvaas ki lau sada jalke rakhna,
Degi andheron mein raasta diya banke.
Happy Birthday.

Yahi dua karta hoon Khuda se,
Aapki zindagi mein koi gham na ho.
Janmdin par mile hazaaron khushiyaan,
Chahe unmein shaamil hum na ho.

Bahut bahut mubaarak hai ye samaa,
Bahut hi nayaab lag raha aaj jahaan,
Aapse door hoon sveekaar kijiye ye sandesh,
Aapke janmdin se saja hai aaj saara jahaan.

Ek dua maangte hain hum apne Rab se,
Chaahte hain aapki khushi poore imaan se,
Sab hasratein poori hon aapki,
Aur aap muskurayein dilo jaan se,
Janmdivas ka haardik abhinandan.

Chehra aapka khila rahe gulaab ki tarah,
Naam aapka roshan rahe aaftaab ki tarah,
Gam mein bhi aap hanste rahna phoolon ki tarah,
Agar hum kabhi tumhara saath na de paaye,
Toh bhi aap apna janmdin manate rehna isi tarah.

Aayi hai subah vo roshni leke,
Jaise naye josh ki nayi kiran chamke,
Vishvaas ki lau sada jalke rakhna,
Degi andheron mein raasta diya banke,
Happy Birthday.

Happy Birthday Bhai Shayari In English

Mera bhai meri jaan hai,
Aaj uske din ki pehchaan hai,
Aaj machegi dhoom shahar mein,
Aaj birthday ka intezaam hai.
Happy Birthday Bhai.

Tere saath har din lagta hai khaas,
Tu mera bhai hai bindass,
Aaj tera janmdin hai, tu na hona udaas,
Uparwala kare saari khushiyan ho jeevan bhar tere paas.
Happy Birthday, Brother.

Tu mera bhai hai,
Tune har kadam pe chalna sikhaya hai,
Aaj bahut khush hoon main,
Mere bhai ka Happy Birthday aaya hai.
Wish you a Happy Birthday!

Tune zindagi ke har kaanton se bachaya hai,
Apne bhai hone ka farz nibhaya hai,
Aaj karenge khoob party dhoom dhaam se,
Aaj mere bhai ka janmdin aaya hai.
Top wala Happy Birthday Bhai.

Tu hai mera bhai, tujhse hi jeevan mein roshni hai,
Tere hone se hi to meri zindagi hai,
Janmdin mubarak ho Bhai,
Tera hona mere liye sabse badi khushi hai.
Happy Birthday Bhai.

Jug jug jiye mera bhai, sada khush rahe tu,
Mere bhai ka din hai aaj, Happy Birthday to you.

Naraz na ho tu bhai, ab na rooth mujhse tu,
Ab to maan jao mere bhai, Happy Birthday to you.

Khushiyon se bhara ho tera har din bhai,
Har dua teri poori ho, har sapna ho sacha bhai.

Bahut mubarak ho tujhe, mere bhai ko dher saari badhai,
Mere pyare bhai ka birthday, dher saari khushiyan laayi.

Tu mera bhai hai, tune har kadam pe sambhala hai,
Aaj khush hoon main, kyunki bhai ka birthday aaya hai.

Conclusion

Birthdays are special moments to celebrate love, laughter, and happiness. Sharing Happy Birthday Shayari Wishes in English adds a personal touch that makes the day unforgettable. Kind words can brighten any sagirah din and bring smiles on every janmdin. Whether for a friend, family member, or loved one, heartfelt shayari shows how much you care. Choose the lines that feel right and make every Happy Birthday truly memorable.

Leave a Comment